
Kitaabon mein mere fasaane dhoondte
hain
Naadaan hain guzre zamaane dhoondte
hain
Jab woh the.. Talaash-e-zindagi bhi
thi
Ab to maut ke thikaane dhoondte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikaala
tha
Aaj hue se deewaane dhoondte hain.
Musaafir be-khabar hain teri aankhon
se
Tere shahar mein maikhaane dhoondte
hain
Tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
Hum to rone ke bahaane dhoondte hain.
Unki aankhon ko youn dekho na yaaro
Naye teer hain. Nishaane dhoondte
hain
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com