Kabhi
tamanna k raastay per nikal paro to
Khayal
rakhna
Hawain ,
baadil , fizaain , mosam , khayal
Chehre
badel badel ker tumhain milain ge
To lamha
lamha badeltay rangon k shokh dhoke main
Kabhi jo
charon tarf tumharay
Kiran
kiran apna khwab aisa badan nikhare
Zameen pe
utre
To
dhundlakon main sama na jana
Kabhi jo
aankhoun main chaand hans hans k chandni ka
Khumar
bher de
To apni
aankhain kahin khala main ganwa na aana
K ye na ho
phir jo khwab tootay
Dhanak
dhanak ka saraab tootay
To jism-o-
jaan per azaab tootay
Aur tum
ba-mushkil larazte haathoun main
Kirchi
kirchi baden sambhale
Kahin
bulandi pe cherh k risti huee nigahoun se
Wapsi k
nishan dhoundo
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com