Jhapat’ty paas aaty ho, humain acha
nahi lagta
Bahanoun sey bulaty ho, humain acha
nahi lagta
Humary dost, hum par fabtiyan kasty
hain, jalty hain
Unhain phir tum jalaty ho, humain
acha nahi lagta
Kahan tak sitarey gin-gin, uneendey
khwab dekhain hum?
Wohi sapney dikhaty ho humain acha
nahi lagta!
Musalsal fehristain hain karain gy
yeh, karain gy wo
Bahut batain banaty ho, humain acha
nahi lagta!
Tumharey sath jayen bazm mein? Touba!
Na jayen gy
Barabar gul khilaty ho humain acha
nahi lagta!
Tumharey sath rahty huy, rahty pas,
phir bhi tum
Bahut nazdeek aaty ho humain acha
nahi lagta!
Tumhara kya, khisak jaty ho gupshup
aur batain ker?
Sab hi khilkhilaty hain humain acha
nahi lagta!
Ary kya ho gaya hai? Kareyngy, jo
kaho gy tum
Zara mein rooth jaty ho, humain acha
nahi lagta!!
Chalo ab maan jao! Roothty hain hum
bhi yah sach hai!
Chalawoun sey sataty ho humain acha
nahi lagta!!
Tumhain jab hum manaty hain: chahak
uthhty ho man hi man
Magar jab tum manaty ho humain acha
nahi lagta!!
Babar yeh dil ki batyn hain, rahain
dil mein to hain mouzoon;
Magar jab barhbarhaty ho humain acha
nahi lagta!!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com