Jab bhi aati hain
khayalon main tumhari aankhen,
Bheeg jati hain kisi
ghum se hamari aankhen.
Dhal gai shaam
andehre ne tani phir se apni chadar,
So gaien thak k tere
hijjar ki maari aankhen.
Tum mere pass nahi
phir bhi tumhara chehra,
Sochti rehti hain ye
dard ki maari aankhen.
Silsila toot bhi
sakta tha barsaat ka kabhi,
Thaam leti mere
ashkon ko tumhari aankhen.
Hum isi aas pe
aankhon ko khula rakhte hain,
Laut aain na kisi
rooz tumhari aankhen.
Gaate gaate hamain ik
shakhs ki yaad aati hai,
Bheeeg jaati hain
ser-e-bazam hamari aankhen.
Jaane kya baat hai
kyon dekhti rehti hain,
Meri aankhon ki taraf
shehar ki saari aankhen
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com