Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, 27 January 2016

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye

Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak
Laot kar aana kahin shaam agar ho jaye

Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki
yahan Diya jale to hawaaon ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye

Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhain
dekh zara manzilon pe jinhain dar'paish safar ho jaye

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com