Hamari taraf
sy salam unko dena
Aur keh dena
qasid salam aakhri hai
Mulaqat hum
sy na ab ho saky gi
Yeh beemar e
gham ka payam aakhri hai
Sare sham
tum kya juda ho rahy ho
Juda rooh
goya ky hoti hai tan sy
Mujhy aisa
maloom hota hai jaisy
Meri zindagi
ki yeh sham aakhri hai
Jawani ky
nashy main bad mast ho kar
Na chal
tooti qabroun ko thukra ky zalim
Yehi mar ky
ik roz ana hai sab ko
Yeh duniya
main sab ka maqam aakhri hai
Houn teri
inayat sy mehroom lekon
Dame naza e
gham nai mjh ko saki
Jo toota hua
hai meri sheesha e dil
Yehi meri
qismat ka jaam aakhri hai
Sakoot e
wafa kar raha houn mukammal
Dia tha
jinhain mainy dil roz e awal
Unhain jaan
b aaj deny chala houn
Muhabbat
main purnum yeh sham aakhri hai
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com