Hama-waqt ranj-o malal kya,
jo guzar gaya so guzar gaya
Use yaad ker ke na dil dukha,
jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay,
youn hi raastay main juda huy
Na tu be-wafa, na main be-wafa,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha,
woh gullon main aik gulaab tha
Zara dair ka koi khuwab tha,
jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan,
na suna suna ke udaas ker
Tu khizan ka phool hai muskura,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker,
kahin wadion main uter chukka
Usy ab na de mere dil sada,
jo guzar gaya so guzar gaya
Yeh safar bhi kitna taweel hai,
yahan waqt bhi kitna qalil hai
Kahan laut ker koi aye ga,
jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien,
yeah na soch kis ki khatien thien
Wo tera hai us ko galay laga,
jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi,
nahi dunya itni buri nahi
Na malal ker mere saath Aa,
jo guzar gaya so guzar gaya
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com