Choota jo tera haath tou hum toot ke
roye
Tum jo na rahay saath tou hum toot ke
roye
Chaahat ki taman'na thi aur zakhm
diye tum ne
Paayi jo yeh saughaat tou hum toot ke
roye
Imkaan na tha duur talak
tajdeed-e-ta'alluq ka
Dekhay jo yeh haalaat tou hum toot ke
roye
Anjaan thay hum ab tak dard ki soorat
se
Hui jo mulaaqaat tou hum toot ke roye
Jeeti thi sadaa hum ne har baazi
teray saath
Tanha jo sahi maat tou hum toot ke
roye
Logo'n ne bahut poochha sabab
veraani-e-dil ka
Jab ho na saki baat tou hum toot ke
roye
Thi dhoop bahut taiz har simt judaayi
ki
Barsi jo na barsaat tou hum toot ke
roye
Zad mein tha khizaao'n ki ab ke
dil-e-barbaad
Bichhrray jo shajar-paat tou hum toot
ke roye
Din bhar tou rahay chup keh duniya ki
nazar thi
Bheegi jo siaah raat tou hum toot ke
roye
Samjha tha sadaa tujh ko apna he koi
hissa
Tukrro'n mein bati zaat tou hum toot
ke roye
Hum kartay rahay aaj talak 'uss
chaand' ki khwahish
Yaad aayi jo auqaat tou hum toot ke
roye
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com