Chalo k hum tum nazar ki basti main
piyaar apna basa k dekhain
Zamanay bhar ki kadoratoun ko
muhabbatoun se mita k dekhain
Andheri rahon main ban k jugno
dikhaaen rasta musafiroun ko
Har eak dil ko karain munawwar nazar
nazar jagmaga k dekhain
Chopa hoa hai jo hasratoun main
talaash es ki tumhain bhi ho
Gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo
sare par de utha k dekhain
Agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo
nigahoun k saamnay hai
Jo zarray zarray main bas raha hai usay
nigahain jhuka k dekhain
Wohi tu hai jo kamaal-e-fan se
nizaam-e-duniya chala raha hai
Jo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti
main aa k dekain
Sama k soraj ki roushni main mitaaen
duniya se teerge ko
Falak ki chadar pe ban k tare har ek
shab jhilmila k dekhain
Ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe
barsain tu piyaar ban kar
Naye shagoofoun ki aankh ban k chaman
chaman muskura k dekhain
Wajood apna ho patharoun main tu naam
apna ho laal-o-marjan
Kabhi samandar main ban k moti sadaf
k dil main sama k dekhain
Kabhi tu dil se mita k nafrat
muhabbatoun ki niyaaz baantain
Diye muhabbat k apny dil main kabhi
tu Muzter jala k dekhain
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com