Aey mri
ham raqs mujh ko thaam ly !
Zindagi
say bhag kar aaya houn main
Dar sar
larzan houn, kahin aesa na ho
Raqs geh
kay chor darwazay say aakar zindagi
Dhoundh
lay mujh ko, nishan pa lay mra
Aur jurm
aesh krtay dekh lay
Aey mri
ham raqs mujh ko thaam ly !
Raqs ki ye
gardishen
Aek mubham
aasia kay daor mein
Kaisi
sargarmi sy gham ko roondta jata houn main
Jee mein
kehta houn keh han
Raqs geh
mein zindagi kay jhanknay say paishtar
Kulfaton
ka sanriza aek bhi rehnay na payay
Aey mri
ham raqs mujh ko thaam ly
Zindagi
meray liyay
Aek khouni
bherdyay say kam nahin
Aey haseen
o ajnabi aurat! Usi kay dar say main
Ho raha
houn lamha lamha aur bhi teray qarib
Janta houn
too meri jaan bhi nahin
Tujh say
milnay ka phir imkan bhi nahin
Too mri un
aarzoown ki magar tamseel hay
Jo rahin
mujh say gurizan aaj tak
Aey mri
ham raqs mujh ko thaam ly !
Ahd e
piraan ka main insan nahin
Bandgi say
is dar o diwar ki
Ho chuki
hen khawahishen be sooz o rang o natawan
Jism say
teray lipat sakta to houn
Zindagi
par main jhapat sakta to houn
Is liyay
ab tham lay
Aey haseen
o ajnabi aurat !
Mujhay ab
thaam ly…
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com