
Abhi
jeeney de
Aey
gham-e-hayaat
Abhi
palkon se jurray hain kuch khawab mery
Abhi dhoundna
hay khud ko baqi
Saray
rastay hain sarab mery
Abhi
tishna houn
Muhabbat k
sagar mein behney de
Goyaii
chin gayii kab se
Kuch kehna
chahta houn kehney de
Abhi
aas-o-ummeed ne dam nahi torra
Kisi
mojzey ki aur
Dekhta
rehta houn
Jo houna
hay vo to hoga
Yunhi
qismat ki lakeeron se
Ulajhta
rehta houn
Koi mojza
koi jaduu
Koi sehar
to kar de
Khushion
se mera
Daman to
bhar de
Thak gaya houn
Chalty
chalty tery saath
Abhi
jeeney de
Aey gham-e-hayaat. ..!!!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com