
Ab ke is
taur se aanchal ki hawa de mujh ko
Jaagte
zehen ki meeras bana de mujh ko
Jo mere
dard ki awaaz samajh sakta ho
Aye
zamaane, koi aisa khuda de mujh ko
Mein ne
samjha hai tujhe munsif-e-dauraan aksar
Merii
na-karda gunahii ki sazaa de mujh ko
Mein terii
rah mein aik sang-sabak wazzan toh houn
Dair kiya
lagti hai, tohkar se hatta de mujh ko
Yeh alag
baat ke ohjhal houn nazar se warna
Mein tere
paas hii rehta houn, sada de mujh ko
Mein
dharakta houn tere siine mein dil ki surat
Aye mere
dushman-e-jaan, aur dua de mujh ko
Uff!
Shab-e-gham ka woh tehra hua lamha faysal
Jab mere
weham kii aahat bhi jaga de mujh ko
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com