Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday, 26 January 2016

Aaj kuch to faisla kar

Aaj kuch to faisla kar
jeene de mujhe apne saath
ya phir mujhe khud se juda kar
bebasi ki zindagi na mujhe
manzoor hai na tujhe
phir chup se kyon rehte ho
kuch to kehne ka hausla kar
aaj kuch to faisla kar
manzil jab dono ki ek hi thi to
alag-alag raahon... Par aakhir
kyon chal pade
jo hua so huaab chal saath mere
dono ki ab ek hi zameen-
aasman kar
aaj kuch to faisla kar
jahan rukh jaayenge safar mein
usse hi apni manzil samaj lenge
ab 'khwaish" se na koi faasla kar
jaanta hoon is duniya mein
phoolon ki kadar bahut hai par
kabhi to kaanto se bhi pyaar kar
aaj kuch to faisla kar
har shaks ki apni apni nazar
apni apni soch hai
kaun kya sochega?
Aisi baaton se khud ko na yuh
bezaar kar
aaj kuch to faisla kar
zindagi ki raahon mein bahut se
log milenge tujhe
par kya koi humsa mil paayega?
Aaj apne dil se yeh sawaal kar
jeene de mujhe apne saath
ya phir mujhe khud se juda kar
par aaj kuch to faisla kar....

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com