Aaj kuch
to faisla kar
Jeene de
mujhe apne saath
Ya phir
mujhe khud se juda kar,
Bebasi ki
zindagi na mujhe manzoor hai na tujhe
Phir chup
se kyon rehte ho,
Kuch to
kehne ka hausla kar
Aaj kuch
to faisla kar,
Manzil jab
dono ki ek hi thi to,
Alag-alag
raahoun... Par aakhir kyon chal pade,
Jo hua so
hua,ab chal saath mere
Dono ki ab
ek hi zameen-aasman kar
Aaj kuch
to faisla kar,
Jahan rukh
jaayenge safar mein
Usse hi
apni manzil samaj lenge
Ab
'khwaish" se na koi faasla kar,
Jaanta houn
is duniya mein
Phoolon ki
kadar bahut hai par
Kabhi to
kaanto se bhi pyaar kar
Aaj kuch
to faisla kar,
Har shaks
ki apni apni nazar, apni apni soch hai
Kaun kya
sochega?
Aisi
baaton se khud ko na yuh bezaar kar
Aaj kuch
to faisla kar,
Zindagi ki
raahoun mein bahut se log milenge tujhe
Par kya
koi humsa mil paayega?
Aaj apne
dil se yeh sawaal kar,
Jeene de
mujhe apne saath
Ya phir
mujhe khud se juda kar
Par aaj
kuch to faisla kar....!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com