Ye
mussafatein , raah-e-ishq mein
Kon
shahr-e-jaan ki nazar karey
Kissey
shouq tanhaa safar karey
Karey
shahr-e-furqat ki arzoo
Kon
dasht-e-hijraan ko ghar karey
In raaston
par chalaa kabhii
Merey
saath ban k wuh hum-safar
Jissey
samjhaa shareek-e-reh-guzar
Sar-e-raah
wuh kisi mor par
Badley gaa
manzil , thii kyaa khabar
Mujhey
faasilon ki fikr nahi
Merey
ru-ba-ru merey khaab hein
Wuh jo
manzilein hein dhuwaan dhuwaan
Ye jo
be-nishaan sey hein raastey
Merey
waastey ye azaab hein
Ab uss k
aur merey darmiyaan
Haail anaa
k mizaaj hein
Ussey phir
sey milney ki chaah mein
Ab aur
chalna muhaal hai
Kisey tera
itnaa khayaal hai?
Kahaan kon
tera hey muntizar?
Merey dil
ka mujhsey sawaal hai…
Meri
chaahton ka ye haal hai
Jo merey
junoon ka arooj thaa
Wuhi
hoslon ka zawaal hai
Jo merey
liye tha khushi kabhii
Wuh ab..
Baais-e-malaal hai
Meri
be-bassi bhi kamaal hai
Nahi uss
sey milney ki justujoo
Na hi
waapsii ka khayaal hai…!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com