Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday 4 March 2016

Muhabbat Rog Hai Jana Ajab Sanjoog Hai Jana

Muhabbat Rog Hai Jana
Ajab Sanjoog Hai Jana
Ye Kaisa Jog Hai Jana

Baray Borhay Batatay Thay
Kaee Qisay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Ye Sab Kuch Jantay Kab Thay
Ye Batain Zikar K Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay

Ana K Takht Pay Bethay
Humain Maloom Hi Kab Tha
Ana K Takht Say Oper
Bohat Saree Bulandi Par
Kahin Pariyoun K Jhurmut Mein
Teray Pairooun Ki Payal Mein
Teray Chotay Say Gaooun Mein
Taree Zulfooun Ki Chaooun Mein
Sitary Chand Suraj
Walay Hana Raqs Kartay Hain

Hamain Maloom He Kab Tha
Taray Qadmoun Ke Ahat Per
Gulabi Muskarahat Per
Teray Hountooun Ke Jumbish Per
Teray Sir Kay Ishray Per
Sada-E-Dolbarana Per
Negaha-E-Qatilana Per
Jafa-E-Mehrmana Per



Ada-E-Qatalana Per
Chaman Kay Phool Saray
Is Tarhan Say Dhayan Daytay Hain
Zara Say Wasl Kay Jhansay Main
Apni Jan Daytay Hain

Hamian Kab Ilm Tha Jana
Teray Paykar Say Dhul Kar
Chandani Har So Bikhrtee Hai
Shab-E-Mehtab Ke Doshezgi
Kaisay Nikhrtee Hai
Tere Awaz Weranay Main
Kya Jadu Jagatee Hai
Taray Nagmay Fiza Main
Kis Tarha Jaltarang Bajatay Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarha Say Toot Jatay Hain

Hamain Idrak He Kab Tha
Hamain Kamil Bharosa Tha
Hamaray Sath Kisi Surat
Bhee Aisa Nahi Ho Ga
Dil-E-Nadan Kabhi
Qaboo Say Bayqaboo Nahi Ho Ga
Yeh Dunya-Dar
Dunya-Dar Say Sadhuu Nahi Ho Ga

Magar

Magar Phir youn Hoa Jana
Na Janay Kyun Hoa Jana
Bara Afsooun Hoa Jana
Jigar Ka Khooun Hoa Jana

Teray Abroo Ke Ik Jumbish
Say Ghayal Ho Gaay Hum Bhee
Baray Bay Multafit Phirtay Thay
Mayal Ho Gaay Hum Bhe
Sakahwat Karnay Ayay Thay
Aur Sayal Ho Gaay Hum Bhee
Baray Bhooroun Ke In Batoun Kay
Qayal Ho Gaay Hum Bhee
Ky
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Yeh Kaisa Jog Hai Jana

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com