Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday 8 March 2016

Main Hijar K Azaab Se Anjaan Bhi Na Thi

Main Hijar K Azaab Se Anjaan Bhi Na Thi
Par Kia Hua Subah Talak Jaan Bhi Na Thi


Aane Mai Ghar Mere Tujhe Jitni Jhijak Rahi
Is Darja Mai BeSaro Samaan Bhi Na Thi

Itna Samjh Chuki Thi Mai Us K Mizaj Ko
Woh Ja Raha Tha Aur Mai Heraan Bhi Na Thi

Aarasta To Khair Na Thi Zindagi Kabhi
Par Tujh Se Qabal Itni Pareshan Bhi Na Thi

Jis Jaa Makeen Ban'ne K Dekhe Thay Maine Khawab
Us Ghar Mai Aik Sham Ki Mehman Bhi Na Thi

Dunia Ko Dekhti Rahi Jis Ki Nazar Se Mai
Us Aankh Mai Mere Liye Pehchan Bhi Na Thi

Roti Rahi Agr To Mai Majboor Thi Bohat
Woh Rat Kaatni Koi Aasan Bhi Na Thi

NaqdEWafa Ko ChashmEKhareedar Kia Mile
Is Jins K Liye Koi Dukan Bhi Na Thi

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com