Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, 31 March 2016

Chalo Door Kahin Chaltay, Hain Kahin Peroun Kay Saye Main

Chalo Door Kahin Chaltay Hain
Kahin Peroun Kay Saye Main
Kahin Sapnoun Ki Wadi Main
Ya Kahin Jheel Kinaray Per
Chalo Chaltay Hain Kahin Jana
Muhabbat Mehsoos Kartay Hain

Teray Kandhay Pay Sar Rakhay
Jo Badal Chu Kay Guzrain To
Jo Barish Ham Pay Barsay To
Buhut Si Ankahi Batain
Khamoshi Ki Zaban Main

Buhut Ahista Say Jana
Hamry Dil Main Utar Ayain
Kabhi Shabnam Pay Nangay Paoun
Teri Qurbat Kay Lamhoun Main
Zamanay Bhar Say Be-Khabar
Kahin Shehr-E-Muhabbat Ki

Zamin Pay Douno Ja Pohnchain
Nazar Main Tera Chehra Ho
Faza Main Khusbu Hamri Ho
Na Apni Khabar Tumhain Kuch Ho

Na Apna Pata Mujhe Kuch Ho
Muhabbat Ki Khamoshi Ho
Muhabbat Ki Kahani Ho

Chandni Us Dariche Ko Choo Kar Mere Neem Roshan Jharoke Me Aye

Chandni Us Dariche Ko Choo Kar
Mere Neem Roshan Jharoke Me Aye Na Aye

Magar


Meri Palkoun Ki Taqdeer Se Neend Chunti Rahe
Aur Us K Khawab Bunti Rahe

Tute Sitare Se Mangane Se Kya Mil Jayega

Tute Sitare Se Mangane Se Kya Mil Jayega
Yeh Hai Do Pal Ka Mehuman Abhi Bujh Jayega

Meri Ankh Ke Ashkoun Ka Tum Gham Na Karo
Yeh Moti Ankh Se Gir Mitti Mein Mil Jayega

Tanha Zindagi Ka Ab Humein Koi Gham Nahi
Tujh Bin Safar Katata Hai Kat Jayega

Yar Ko Diye Vade Ki Khatir Sab Kuch Bhula Diya
Ik Dard-E-Muhabbat Hai So Bhi Mit Jayega

Gham-E-Ishq Chhupane Ko Shuroor-E-Mai Kafi Nahi
Yeh Nasha Bhi Kuch Hi Der Mein Dhal Jayega

Dil-E-Nadan Samjhane Se Samjhta Kyun Nahi
Ek Parwana Aur Shamma Par Jal Jayega

Takte Rahe Der Tak Uske Jane Ke Bad
Kabhi Na Kabhi Woh Us Rah Par Mil Jayega

Hazar Jatan Karte Hain Roothoun Ko Manane Ko
Ik Na Ik Din Use Yeh Pata Chal Jayega

Dil Se Yar Ki Tasveer Mitane Khud Ko Jala Diya
Par Yeh Nishan To Maut Ke Bad Bhi Na Jayega

Yaroun Ki Batoun Se Dil Bahla To Liya Gazal
Par Kuch Der Mein Yeh Phir Machal Jayega

Chalo Kuch Dair Intezar Karain

Chalo Kuch Dair Intezar Karain
Shayad K Us K Dil Say Badgumani Ki Barf Pighal Jayey

Shayad K Us Ki Ana Ka Sooraj Aik Din Dhal Jayey
Shayad K Woh Kuch Hum Say Milnay Ko Machal Jayey

Chalo Kuch Dair Intezar Karain
Ho Sakta Hay Woh Ana Ki Deewar Gira Daley

Ho Sakta Hay Woh Ehad-E-Dosti Nibha Dalay
Hosakta Hay Woh Humain Akhri Bar Bula Daley

Chalo Kuch Dair Intezar Karain
Mumkin Apni Qismat Main Bhi Kamal Ho Jayey

Uska Dil Bhi Hamari Tarah Bey Hal Ho Jayey
Khushioun Ki Arzoo Main Dard Say Nidhal Ho Jayey

Chalo Kuch Dair Intezar Karain
Muqaddar Ki Tareek Ratoun K Janay Ka

Us Bichrhay Dost K Laut Anay Ka
Usko Bhi Khayal Ayey Humain Mananay Ka

Chalo Kuch Dair Intezar Karain
Kuch Dair Or Khud Ko Beyqarar Karain

Chalo Tumharey Liyey Shikast Ka Iqrar Karain
Chalo K Phir Tajdeed-E-Dosti Aik Bar Karain

Chalo Kuch Dair Intezar Karain

Mere Humsafer Mere Hum-Nasheen Main Ne Rab Se Manga

Mere Humsafer Mere Hum-Nasheen
Main Ne Rab Se Manga To Kuch Nahi
Main Ne Jub Bhi Mangi Koi Dua
Nahi Manga Kuch Bhi Tere Siwa

Ye Talab Kya K Mera Khuda
Sabhi Rahtain Sabhi Chahtain
Wo Ata Kre Tujhe Manzlain
Ye Talab Kya K Mera Khuda
Tujhe Baksh De, Tujhe Taj De
Tujhe Takht De, Mere Humsafer

Mere Chara-Ger
Ye Hai Muhabbat Ka Khatn Safer
Mere Sath Chalna Zra Soch Ker
Zra Dekh To Mera Hosla
Mere Pas Jo Bhi Wo Hai Tera
Nahi Aur Kuch Bhi Tere Siwa
Meri Dosti, Meri Zindgi, Meri Khamoshi
Meri Be-Basi, Mera Ilm Bhi, Mera Nam Bhi
K Meri Subha, K Meri Sham Bhi
K Jo Mil Saken Mere Dam Bhi

Wo Sabhi Kuch Tujh Ko Ata Kre;
Mere Chara Gr Tu Yaqin To Kr
Mujhe Mangna To Na A Ska
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gwahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub B Us Se Talab Kya
Nahi Manga Kuch Bhi
Tere Siwa

Chandni Ratoun Mein Tanhaiyoun Ke Alam Mein Wo Kuch Aur Yad Ata Hai



Chandni Ratoun Mein
Tanhaiyoun Ke Alam Mein
Wo Kuch Aur Yad Ata Hai

Ye Mausam Ka Takaza Hai
Ya Nasha Hai Uske Pyar Ka
Wo Hawa Banke Badan Ko Chuke
Rooh Mein Utar Jata Hai

Chand Ko Dekhti Hooun Jab Jab
Sharm Si Mujhko Ati Hai
Ye Chand Bhi Ab To Mujhe
Usika Chehra Dikhata Hai

Ye Taroun Se Bhara Asman
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai
Chanchal Si Dilki Arzuoun Ko
Andekha Paigam De Jata Hai

Barish Ki Booundein Jab Mere
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai
Ek Shararat Bhari Nazrounse
Wo Mujhe Cher Jata Hai

Sardi Ki Ratoun Mein Jab Jab
Neend Se Bezar Hoti Hooun
Wo Chupke Se Ake Mujhe
Apne Seene Pe Sula Jata Hai

Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jati Hai
Tu Jiski Deewani Hai
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai

Chandni Ratoun Mein
Wo Kuch Aur Yad Ata Hai
Chand Banke Wo
Mere Dil Mein Samata Hai

Chiragh Mangtay Rehnay Ka Kuch Sabab Bhi Nahin



Chiragh Mangtay Rehnay Ka Kuch Sabab Bhi Nahin
Andhaira Kesay Bitaien Kay Ab Tou Shab Bhi Nahin

Main Apnay Zom Main Aik Bazyaft Par Khush Hooun
Yeh Waqiya Hai Kay Mujh Ko Mila Woh Ab Bhi Nahin

Jo Meray Shair Main Mujh Say Zyada Bolta Hai
Main Us Ki Bazm Main Aik Hurf-E-Zer-E-Labb Bhi Nahin

Aur Ab To Zindagi Guzarnay Kay Sau Tareeqay Hain
Hum Us Kay Hijr Main Tanha Rahay Thay Jab Bhi Nahin

Kamal Shakhs Tha Jis Nay Mujhay Tabah Kiya
Khilaf Us Kay Yeh Dil Ho Saka Ab Bhi Nahin

Yeh Dastakien Yeh Meri Zindagi Ki Adhi Rat
Hawa Ka Shor Samajh Looun To Kuch Ajab Bhi Nahin

Yeh Dukh Nahi Kay Andhairoun Say Sulah Ki Ham Nay
Malal Yeh Hai Kay Ab Subah Ki Talab Bhi Nahin

Hisab-E-Dar Badri Tujh Say Mang Sakta Hai
Ghareeb-E-Shehar Magar Itna Bay Adab Bhi Nahin

Hamain Bohat Hai Yeh Sadat-E-Ishq Ki Nisbat
Kay Yeh Qabeela Koi Aisa Kam Nasab Bhi Nahin

Rat Hui Kia Jal Thul Barish

Rat Hui Kia Jal Thul Barish
Dho Gai Sara Kajal Barish

Mein Hooun Dharti Banjar Payasi
Tum Ho Eik Mukammal Barish

Ao In Ankhooun Mein Utro
Dekho Meray Sanwal Barish

Sab Per Tumhara Nam Likha Hay
Khushbu Chand Hawa Jul Barish

Do Deewanay Nach Rahay Thay
Eik Mein Aur Eik Pagal Barish

Dukh Is Bat Ka Nahin Keh Meri Zat Ko Muntasir Karne Wale Hath Tere Thy



Suno

Mujhe Dukh Is Bat Ka Nahin
Keh Meri Zat Ko Muntasir Karne Wale
Hath Tere Thy

Mujhe Dukh Faqt Is Bat Ka Hai
Meri Reza Reza Zat Ko Sametne Wale
Hat Tere Nahin Thy

Ek Din Batoun Hi Batoun Mein Usne Chand



Ek Din Batoun Hi Batoun Mein
Usne Chand Lamhe
Mujhe Bagor Dekhte Hue Kaha
Tumhari Ankhein Bahut Achhi Hai
Jab Tum Royi Hui Hoti Ho
To Soojhi Soojhi Si Bojhal Ankhein
Bahut Achhi Lagti Hai
Aur Us Din Pehli Bar
Maien Tanhayi Mein
Bagor Apni Ankhein Dekhi
Yun Laga Kisine Qareeb Se Sargoshi Ki Ho
Tumhari Ankhein Bahut Achhi Hai
Aur Main Ye Soch Kar Dheeme Se Muskura Di
Ke Jiski Khushi Aur Ana
Mujhe Apni Zat Ki Tarah Azeez Hai
Us Meherban Ko
Agar Mere Kuch Azeez Hai
To Faqt Meri Ankhein
Aur Wo Bhi
Royi Hui

Wednesday, 30 March 2016

Rotey Rotey Hue Kehti Hai Zindagi Mujh Se



Rotey Rotey Hue Kehti Hai Zindagi Mujh Se


Sirf Eik Shakhs Ki Khatir Mujhey Barbad Na Kar

Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga



Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga
Kia Kia Na Apni Zaat Par Ilzaam Aay Ga

Kesi Aziyaton Se Guzar Jaay Ga Ye Dil
Kis Dukh Se Mere Lub Pay Tera Naam Aay Ga

Jaa To Raha Hai Dil Tere Lqraar Ki Taraf
Main Jaanta Hoon Lout Key Na-Kaam Aay Ga

Honton Ka Lamas De Key Mujeh Os Ny Ye Kaha
Lay Jaa Isy Safar Mein Tere Kaam Aay Ga

Jub Mustjaab Hoga Duaon Ka Silsila
Lk Aur Dasht-E-Hijr Mere Naam Aay Ga

Saturday, 12 March 2016

Barishon Ke Mosam Mein Dil Ki Sar Zameenon Par Gard Kyun Bikharti Hai.?


Barishon Ke Mosam Mein
Dil Ki Sar Zameenon Par
Gard Kyun Bikharti Hai.?

Iss Tarha Ke Mosam Mein
Phool Kyun Nahin Khilte.?
Log Kyun Nahin Milte?

Kyun Faqat Ye Tanhai
Sath Sath Rehti Hai?
Kyun Bicharne Walon Ki
Yaad Sath Sath Rehti Hai.?

Itni Tez Barish Se
Dil Ke Aainey Par Se
Aks Kyun Nahin Dhulte?
Zakham Kyun Nahin Mitte.?
Neend Kyun Nahin Aati.?

Barishon Ke Mosam Mein
Aankh Kyun Barasti Hai.?
Ashk Kyun Nahin Thamte.?

Barishon Ke Mosam Mein...!

Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,



Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,
Sochoon Pe Jami Gard Ko Dho Deti Hai Barish.

Hans Hans K Sunaati Hai Jahan Bhar K Fasanay,
Poochhon Tere Baare Mein Tu Ro Deti Hai Barish!

Lagte Hain Piyaare Meri Aankhon Ko Ye Manzar,
Hairat! Mere Ehsas Ko Wo Deti Hai Barish!

Yaadoon Ki Mehak Ho Ya Tere Hijr K Taanay,
Chup Chaap Main Rakh Leta Hoon Jo Deti Hai Barish!

Mujh Par Tu Jo Karti Hy So Karti Hai Inayat,
Moti Tere Baalon Mein Piro Deti Hai Barish.

Barishon K Mosam Main, Waqat K Andheron Main,

Barishon K Mosam Main,
Waqat K Andheron Main,
Main Ny Us Sy Pucha Tha,
Chor To Na Jao Gy?

Hath Tham Kr Us Ny,
Kaan Mn Ye Bola Tha,
Kesy Chor Sakta Hoon,

Tum To Jaan Ho Meri.

Aur Aj Aisa Hai,

Waqat Ki Tamazat Mn,
Wehshaton K Mosam Me,

Main Ny Us Sy Pucha Hy,

Chor Kr Hi Jana Tha?
To
Aas Q Dilai Thi.?
Pyaas Q Jagai Thi.?

Mery In Sawalon Pr,
Chalty Chalty Wo Bola,
Mosmon Ki Aadat Hai,

"Waqt Pr Badal Jana"

Barish Mujhe Islye Pyari Lagti Hai,

Barish Mujhe Islye Pyari Lagti Hai,
Q K Barish Tmari Yaden Le Kr Ati Ha,

Tum Mjhe Is liye Pyare Lagte Ho, Kyun Ky

Tmhari Yaden, Barish Ko Or B Pyara Bna Deti Han,

Aj Barish Me Akele Bheeg Kar,
Mera Dil Mujh Se Bar Bar Keh Rha Tha,

K Me Barish Ki Hr Ik Bound Se Puchun,
Kya Usy Barishen Aj B Pyari Lagti Hain?

Suno Jab Barish Barsa Karti Hai, Aur Har Soo Pani Hota Hai,

Suno Jab Barish Barsa Karti Hai,
Aur Har Soo Pani Hota Hai,
Hum Apne Ghar K Aangan Mein,

Logo Ko Dekha Kate Hain,
Aur Tum Ko Socha Karte Hain,

Suno! Jab Rat Siah Ho Jati Hai,
Aur Chandni Phela Karti Hai,

Hum Apne Ghar K Aangan Mein,
Chup K Apne Bistar Par, 


Taron Ko Dekha Karte Hain,
Aur Tum Ko Socha Karte Hain

Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,

Aanchal Teri Yadoon Ka Bhigo Deti Hai Barish,
Sochoon Pe Jami Gard Ko Dho Deti Hai Barish.

Hans Hans K Sunaati Hai Jahan Bhar K Fasanay,
Poochhon Tere Baare Mein Tu Ro Deti Hai Barish!

Lagte Hain Piyaare Meri Aankhon Ko Ye Manzar,
Hairat! Mere Ehsas Ko Wo Deti Hai Barish!

Yaadoon Ki Mehak Ho Ya Tere Hijr K Taanay,
Chup Chaap Main Rakh Leta Hoon Jo Deti Hai Barish!

Mujh Par Tu Jo Karti Hy So Karti Hai Inayat,
Moti Tere Baalon Mein Piro Deti Hai Barish.

Khirkiyon Ke Sheshon Par Reengtay Hoey Qatray



Khirkiyon Ke Sheshon Par
Reengtay Hoey Qatray

Youn Phisaltay Hain Jasay
Meray Our Badal Ke

Darmayan Koi Hai -Jo
Meray Our Badal Ke

Raaz Ko Samajta Hai
Jab Gatayen Chayen To

Sirf Wo Nahi Rotein
Ankheen Be Barasti Hain

Khirkiyan Bi Roti Hain

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsy

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsy
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsy

Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Liye

Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsy

Bemosam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,

Bemosam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,
In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,

Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,
Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi

Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhoun Main Aa Betho



Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhoun Main Aa Betho

Wo Barsoun Main Kabi Barsy Yeh Barsoun Sy Barasti Hain

Tuesday, 8 March 2016

Meri Gardishon K Wo Din Nahi, Mujhy Yaad Unki Jafa Nahi,

Meri Gardishon K Wo Din Nahi,
Mujhy Yaad Unki Jafa Nahi,

Kabhi Mil Gaya To Khushi Hui,
Jo Nahi Mila To Gila Nahi

Wohi Sorshein Hein Wohi Tarap,
Wohi Dard-O-Gham, Wohi Soz-E-Dil,

Yehi Zindagi Hai To Kiya Kahon,
Koi Iss Sy Barh K Saza Nahi,


Pari Yak-Bayak Jo Nazar Meri,
Rahy Hosh Mery Baja Nahi

Wo Zulm Karty Hein Is Tarah,
Koi Jesy Mera Khuda Nahi.

Jate Jate Wo Mujhe Achi Nishani De Gaya.

Jate Jate Wo Mujhe Achi Nishani De Gaya.
Umar Bhar Duhraun Ga Aesi Kahani De Gaya.

Us Se Main Kuch Pa Sakun Asi Kahan Umed Thi.
Gham Bhi Wo Shayad Bara-E- Mehrbani De Gya.

Sab Hawaen Le Gya Mere Samandar Ki Koi.
Aur Mujh Ko Ek Kashti Badbani De Gya.

Khair Main Pyasa Rha Par Us Ne Itna To Kia.
Meri Palkon Ki Qataron Ko Wo Pani De Gya.

Be-Qrar Mosam Me Yaad K Jharokon Se,

Be-Qrar Mosam Me Yaad K Jharokon Se,
Phir Tumhi Se Milne Ki Dil Me Kitni Khwahish Hai,

Aaj Kal Navember Ki Phir Udas Shaamen Hain,
In Ujaar Ankhon Me Zard Zard Ratain Hain,

Is Tarah K Mosam Me Toot Phoot Jata Houn,
Jab Bhi Yaad Aatay Ho Khud Ko Bhool Jata Houn..

Kash Tum Samajh Paty Kitna Chaha Hai Tum Ko

Kash Tum Samajh Paty

Kitna Chaha Hai Tum Ko..
Kis Qadar Mohabbat Hai..
Kis Qadar Zarorat Hai.

Kash Tum Samajh Paty

Jaan Ye Tumhari Hai.
Har Khushi Tumhari Hai
Dil Lagi Tumhin Se Hai.
Zindagi Tumhin Se Hai.

Kash Tum Samajh Paty

Rooh Ki Zarorat Ho.
Meri Tum Mohabbat Ho..

Kash Tum Samajh Paty

Jate Hue Us Shakhs Ne Ek Aajeb Bad'dua Si Di




Jate Hue Us Shakhs Ne Ek Aajeb Bad'dua Si Di

Tujhe Milen Do Jahan Ki Khushiyan Par Koi Mujh Sa Na Mile

Badli Saawan Ki Koi Jab Bhi Barasti Hogi.

Badli Saawan Ki Koi Jab Bhi Barasti Hogi.
Dil Hi Dil Mein Woh Mujhe Yaad To Karti Hogi.

Theek Se So Na Saki Hogi Khayalon Se Mere.
Karvatein Raat Bhar Bistar Pe Badalti Hogi.

Koshishen Jitni Bhi Ki Hongi Bhulaane Ki Mujhe.
Yaad Utni Hi Meri Aur Ubharti Hogi.

Dar Pe Aahat Si Hui Hogi Hawa Se Jab Bhi.
Dhadkanen Dil Ki Bahot Tez Dharakti Hogi.

Khat Na Aane Ka Sabab Jaan Liya Hai Maine.
Kahin Ruswai Na Ho Jaye, Wo Darti Hogi.

Poochti Hogi Hawaon Se Mera Haal E Dil.
Uski Galiyon Se Hawa Jab Bhi Guzarti Hogi.

Apne Seene Se Laga Kar Meri Tasveer Ko.
Woh Aahen Raaton Ko Mere Pyar Mein Bharti Hogi.

Jhooti Aane Ki Khabar Paake Woh Meri.
Kabhi Sajti To Kabhi Aur Sanwarti Hogi.

Samajta Nhi Ye Dil Simjhany Chaly Aao.

Samajta Nhi Ye Dil Simjhany Chaly Aao.
Dilo K Fasly Ko Mitany Chaly Aao.

Janoon-E-Ishiq Main Dewany Ho Gy Hain.
Apni Bahno Main Mujy Smany Chaly Aao.

Na Door Reh Kir Tarpao Na Dil Ko Tarsao.
Apna Bana K Apnayit Dikany Chaly Aao.

Mera Ishiq Sucha Hai Mera Itebar Kro.
Mera Ishiq Mera Pyar Azmany Chaly Aao.

Majboreo Ki Dewar Tor Dety Hain Log.
Tum Bhi Milny Ksi Bhany Chaly Aao.

Kuch To Wasta Rakho Begangi Na Dekao.
Diloun K Fasly Mitany Chaly Aao.

Na Chhair Qissa-E-Ulfat Bari Lambi Kahaani Hai,

Na Chhair Qissa-E-Ulfat Bari Lambi Kahaani Hai,
Mein Zindagi Se Nahi Haara Kisi Ki Baat Maani Hai,

Ye Jo Mere Haathon Per Shabnam K Se Qatry Hain,
Haqeeqat Mein Ye Meri In Aankhon Ka Pani Hai,

Torr Kr Dil Mera Chup Jao Ge Dunia Mein Kis Jaga,
Pehly Na Sahi Lekin Ab Qyamat Aani Hi Aani Hai,

Bahut Hi Dard Hota Koi Jab Mujh Ko Chhoo Le To,
Ye Sub Us K Diye Huwe Zakhmon Ki Nishaani Hai,

Agr Israar Krty Ho To Phir Sun Lo Mera Qissa,
Meri Ye Zindagi Jo Hai Faqeeri Ki Kahani Hai,

Mily Fursat Agr Tumhain Kuch Hajoom-E-Yaaran Se,
To Aana Mere Ghar Tumko Muhabbat Yaad Dilani Hai...

Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Dunya Ho Jaye,

Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Dunya Ho Jaye,
Itne Raangon Me Koi Rang To Apna Ho Jaye,

Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb,
Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye,

Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhen Ban Jayen,
Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye,

Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Me Sach Kehna Hai,
Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye,

Ishq Woh Kaar-E-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer,
Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye,

Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad,
Bheerr Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye.

Teri Ulfat Nay To Diwana Bana Rakha Hai,

Teri Ulfat Nay To Diwana Bana Rakha Hai,
Aur Logo Nay Bhi Afsana Bana Rakha Hai,

Aandhiyaan Taiz Chalein Bujh Na Sakay Ga Phir Bhi,
Khoon E Dil Say Jo Diya Hum Nay Jala Rakha Hai,.

Unse Khud Unki Jafaon Ka Gila Kesy Karein,
Hum Ne Aanhon Ko Bhi Seene Main Daba Rakha Hai.

Woh Joh Kaatil Hai Situmgar Hai Mohabbat Ka Meri,
Hum Ne Unwaan E Gazal Usko Bana Rakha Hai.

Ban Ke Anjaan Sar E Bazm Woh Mujh Se Bolay,
Ishq Main Kis Ke Bura Haal Bana Rakha Hai.

Kon Kehta Hai Tujh Ko Bhool Gaya Hai Dil,
Teri Yaad Ko To Humne Emaan Bana Rakha Hai.

Tere Amal Sy Hai Tera Preshan Hona

Tere Amal Sy Hai Tera Preshan Hona
Warna Mushkil Nahi, Mushkil Aasan Hona

Donoun Aalam Py Hakomat Ho Teri Aey Muslim
Tu Samjh Jaye Agar Apna Musalman Hona

Yahan Khamosh Nazron Ka Nazara Kon Banta Hai,

Yahan Khamosh Nazron Ka Nazara Kon Banta Hai,
Buhat Gehray Sumandar Ka Kinara Kon Banta Hai.

Chalo Hum Dekhtay Hain Ab Khud-Ko Barbaad Kar Kay Bhi,
Kay In Barbadiyon Main Bhi Humara Kon Banta Hai,

Binaa Phal Kay Darakhton Ko Yahan Pe Kaata Jaata Hai,
Kisi Bhi Be-Saharay Ka Sahara Kon Banta Hai.

Koi Sheesha Agar Tootay To Wapis Jurr Nahi Sakta,
Muhabbat Main Fanaa Ho-Kar Dobara Kon Banta Hai.

Chalo Phir Aazma Lo Tum Sub-Hi Apnay Piyaron Ko
Tumharay Dard Main Dykho Tumhara Kon Banta Hai.

Usy Kehna Gily Unhi Se Hote Hain.

Usy Kehna Gily Unhi Se Hote Hain.
Jo Dil K Pass Hote Hain.

Shikayat Un Se Hoti Hai.
Jo Be-Had Khas Hote Hain.

Mera Tujh Se Gila Karna.
Tumhen Yunhi Khafa Karna.

Muhabbat Ki Alamat Hai

Muhabbat Ki Alamat Hai

Khud Se Bhi Piyar Tumhare Liye Kya,

Khud Se Bhi Piyar Tumhare Liye Kya,
Raaton Ko Intezaar Tumhare Liye Kya.

Tum Laut Kar Na Aye Kisi Shaam Ko Magar,
Har Shaam Intezaar Tumhare Liye Kya.

Ye Jan Kar Bhi K Duniya Kisi Ki Nahi Hoti,
Duniya Pe Aitebar Tumhare Liye Kya.

Jo Dil Kisi K Waste Roya Na Tha Kabhi.
Us Dil Ko Beqarar Tumhare Liye Kya.

Kabhi Jo Chhiri Yade rafta gaan Mohsin

Kabhi Jo Chhiri Yade rafta gaan Mohsin'
Bikhar Gai Hain Nigahen Kahan Kahan Mohsin'

Hawa Ne Raakh Uraai To Dil Ko Yad Aaya
K Jal Bujhi'n Mere Khawabo'n Ki Bastiyan Mohsin'

Kuch Aisy Ghr Bhi Mile Jin Mai Ghoongaton K Auz
Hui Hain Dafan Dupaton Mai Larkiyan Mohsin

Khandar Hai Ehdeguzishta Na Chhoo Na Chhair Isay
Khulen To Band Na Hon Iski Khirkiyan Mohsin

Bujha Hai Kon Sitara K Apni Aankh K Sath
Hwy Hain Saare Manaazir Dhuaan Dhuaan Mohsin

Nhi K Is Ne Ganwaye Hain Maahosaal Us K
Tmam Umr Katti Youn Bhi Raaye'gan Mohsin

Mila To Or Bhi Taqseem Kr Gya Mujhko
Sametna Thi'n Jisy Mri Kirchiyan Mohsin

Kahin Se Usne Bhi Torra Hai Khud Se Rabtewfa
Kahin Se Mai Bhi Bhool Gya Dastaan Mohsin

Mujh Se Ye Log Kehtay Hain, Kahan Dil Chor Aaye Ho?

Mujh Se Ye Log Kehtay Hain
Kahan Dil Chor Aaye Ho?

Bohat Chup Chaap Rehte Ho
Na Bantey Na Sanwartey Ho

Na Koi Baat Kartey Ho 

Bhari Mehfil Mein Bhi Aksar
Hamesha Khoye Rehtey Ho

Uddasi Aankhon Mein Le Kar
Har Ik Chehray Ko Taktay Ho

Koi Jab Yaad Aata Hai
Tu Thandi Aah Bhartey Ho

Tu Khul Kar Q Nahi Kehtey 


Kisi Ko Yaad Kartey Ho.

Main Hijar K Azaab Se Anjaan Bhi Na Thi

Main Hijar K Azaab Se Anjaan Bhi Na Thi
Par Kia Hua Subah Talak Jaan Bhi Na Thi


Aane Mai Ghar Mere Tujhe Jitni Jhijak Rahi
Is Darja Mai BeSaro Samaan Bhi Na Thi

Itna Samjh Chuki Thi Mai Us K Mizaj Ko
Woh Ja Raha Tha Aur Mai Heraan Bhi Na Thi

Aarasta To Khair Na Thi Zindagi Kabhi
Par Tujh Se Qabal Itni Pareshan Bhi Na Thi

Jis Jaa Makeen Ban'ne K Dekhe Thay Maine Khawab
Us Ghar Mai Aik Sham Ki Mehman Bhi Na Thi

Dunia Ko Dekhti Rahi Jis Ki Nazar Se Mai
Us Aankh Mai Mere Liye Pehchan Bhi Na Thi

Roti Rahi Agr To Mai Majboor Thi Bohat
Woh Rat Kaatni Koi Aasan Bhi Na Thi

NaqdEWafa Ko ChashmEKhareedar Kia Mile
Is Jins K Liye Koi Dukan Bhi Na Thi

Never Cry For The Person Who Hurts You



Never Cry For The Person Who Hurts You.

Just Smile And Say. 

Thanks For Giving Me The Chance


To Find Someone Better Than You

Hum Pagal Chand Ko Pany Chaly Thy

Hum Pagal Chand Ko Pany Chaly Thy,
Humain Kia Khabar Thi Khud Ko Rulany Chlay Thy,

Ab To Daman Me Bas Yaadain Hi Pari Hen,
Wafadar Ho Kr B Bewafa Kehlwany Chalay Thy,

Humain Thukra Kr Rota To Wo B Hoga,
Jis Sy Hum Sachi Mohabat Nibhany Chlay Thy,

Ab Jo Khuwab Tootay Hen To Ye Ehsas Howa,
Hum Samandar K Kinary Mehal Banany Chalay Thy,

Dil Dukhaya He Tum Ny Per Sada Khush Rho,
Hum Teri Rahon Ma Phool Bichany Chlay Thy.

Karray Hain Hijar K Lamhaat, Uss Se Keh Dena

Karray Hain Hijar K Lamhaat, Us Se Keh Dena.
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat, Us Se Keh Dena.

Hawa-E-Mousam- E-Gham Uss K Shehar Jaye To.
Mery Dukhoon Ki Koi Baat, Us Se Keh Dena.

Yeh Wehshatein,Yeh Udasi,Yeh Ratjagoo K Azaab.
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat, Us Se Keh Dena.

Bohat Taweel Bohat Karab Naak Hoti Hain.
Judayion Ki Har Ik Raat, Us Se Keh Dena.

Wo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahe.
Main Maan Loon Ga Wahin Maat, Us Se Keh Dena.

Wafa Ki Raah Me Main Aaj Bhi Akaila Hoon.
Koi Nahi Hai Mere Saath, Us Se Keh Dena.

Meri Woh Raatien Bhi Tera Naam Le Le Kar Guzri

Meri Woh Raatien Bhi Tera Naam Le Le Kar Guzri.

Jin Raaton Mai Log Bakshish Ki Dua Maangte Hain.

Liya Jo Un Ka Naam To Ansoo Chalak Parey

Liya Jo Un Ka Naam To Ansoo Chalak Parey

Pani Ko Kitna Pyaar Hai Ab Bhi Hussain (R.A) Se

Teri Yadoun Ki Ulfat Sey Saji Hai Zindagi Meri



Teri Yadoun Ki Ulfat Sey Saji Hai Zindagi Meri

Main Pagal Houn Jo Tujh Ko Bhool K Viraan Ho Jaon

Her Jurm Meri Zaat Se Mansoob Hua Hai

Her Jurm Meri Zaat Se Mansoob Hua Hai

Kiya Mere Siwa Shehr Mai Masoom Hain Saray

Phir Paish-E-Nazar Surat-E-Mehtab Hai Koi

Phir Paish-E-Nazar Surat-E-Mehtab Hai Koi
Ya Meri Nigahon Mein Naya Khawab Hai Koi

Yeh Baat Garaan Khawab Ko Ab Kon Bataye.,
Tere Liye Is Raat Mein Be-Khawab Hai Koi.,

Palkon Pe Jo Roshan Hai Sar-E-Sham-E-Tamanna.,
Woh Ashk Nahi Gohar-E-Nayaab Hai Koi.,

Yeh Sirf Karishma Hai Meri Chashm-E-Talab Ka.,
Sehra Mein Kahan Gulshan-E-Shadaab Hai Koi

Nawaqif-E-Adaab-E-Mohabbat Ko Khabar Kya
Kab Se Raah-E-Umeed Mein Betaab Hai Koi.

Deepak,Jugnu,Chaand,Sitaarey,Aik Se Hain

Deepak,Jugnu,Chaand,Sitaarey,Aik Se Hain
Yaani Saare Ishq K Maarey, Aik Se Hain..

Hijr Ki Shab Me Daikh To Aa K Mere Chaand..
Mere Aansu Aur Ye Taarey, Aik Se Hain..

Meri Kashti Kis Ne Deboi, Kya Maloom??
Saari Lehrein, Saarey Dhaarey, Aik Se Hain..

Kuch Apne Aur Kuch Be-Gaaney Aur Main Khud..
Meri Jaan K Dushman Saarey, Aik Se Hain..

Ab Batlao K Hum Kis Se Faryad Karein
Qaatil, Haakim, Munsif, Saarey, Aik Se Hain

Chahay Tere Nazar Main Mere Muhabbat Ka Koi Mayaar Na Ho

Chahay Tere Nazar Main Mere Muhabbat Ka Koi Mayaar Na Ho

Magar Hum Jo Ujray Hain Faqat Ek Tujhe Hi Paanay Kay Liye.

Mein Ne Mehsos Kiya Tm Se Do Baten Kr K,

Mein Ne Mehsos Kiya Tm Se Do Baten Kr K,
Tum Zamane Mei Zamane Se Juda Lagti Ho.

'Tum Jo Hansti Ho To Pholon Ki Ada Lagti Ho,
Or Chalti Ho To Ik Bad-E-Saba Lagti Ho,

Dono Hathon Mein Chupa Laiti Ho Apna Chehra,
Mashriqi Hoor Ho Dulhan Ki Haya Lagti Ho,

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kr Sar Ko,
Kitni Masom Ho Tasvir E Wafa Lagti Ho,

Bat Krti Ho To Sagar Se Khanak Jate Hain,
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagti Ho,

Kis Taraf Jaogi Zulfon K Ye Badal Le Kr,
Aj Machli Huvi Sawan Ki Ghata Lagti Ho,

Tm Jise Daikh Lo Peeny Ki Zarurat Kya Hai,
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagti Ho..

Saturday, 5 March 2016

Noor Aankhon Main, To Chehry Py Ujaly Hon Gy

Noor Aankhon Main, To Chehry Py Ujaly Hon Gy,
Mustafa walon K Andaz niraly hon gy..

Hashr main unki shafa’aat k hawalya hongy,
Hum Gunahgaron ko Sarkaar Sambhaly Hon Gy,

Dunya Me Un K Tasawur Sy Muqadar Chamka,
Qabar main ab to ujalay hi ujalay hon gy,

Hashr main bheer ho gi hum dewano ki,
Mery Sarkar k sub chahny waly hongy,

Labaik Ya Rasool Allah (SAWW)


Labaik Ya Rasool Allah (SAWW)


Friday, 4 March 2016

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yad Kissi Ki Aati

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yad Kissi Ki Aati Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur Yad Mein Meri Bhar Ain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Palkein Karab Se Moundi Ho Aur Sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke Chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai Yah Bat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Booundein Lagte Houn
Who Lamha Hargiz Mat Khouna Aur Chupke Chupke Ro Lena

Unhoun Ne Apna Hath Barhaya Hai Faqat Mujhe Thamne Ke Liye

Unhoun Ne Apna Hath Barhaya Hai
Faqat Mujhe Thamne Ke Liye

Par Un Se Main Yeh Kaise Kahoun
Ke Mujhe Hath Nahi Sath Chahiye

Takhleeq Asman Pe Woh Mere Liye Hua Hai

Takhleeq Asman Pe Woh Mere Liye Hua Hai


Mana Keh Iss Zameen Pe Mera Nahin Hai Woh

Muhabbat Rog Hai Jana Ajab Sanjoog Hai Jana

Muhabbat Rog Hai Jana
Ajab Sanjoog Hai Jana
Ye Kaisa Jog Hai Jana

Baray Borhay Batatay Thay
Kaee Qisay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Ye Sab Kuch Jantay Kab Thay
Ye Batain Zikar K Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay

Ana K Takht Pay Bethay
Humain Maloom Hi Kab Tha
Ana K Takht Say Oper
Bohat Saree Bulandi Par
Kahin Pariyoun K Jhurmut Mein
Teray Pairooun Ki Payal Mein
Teray Chotay Say Gaooun Mein
Taree Zulfooun Ki Chaooun Mein
Sitary Chand Suraj
Walay Hana Raqs Kartay Hain

Hamain Maloom He Kab Tha
Taray Qadmoun Ke Ahat Per
Gulabi Muskarahat Per
Teray Hountooun Ke Jumbish Per
Teray Sir Kay Ishray Per
Sada-E-Dolbarana Per
Negaha-E-Qatilana Per
Jafa-E-Mehrmana Per



Ada-E-Qatalana Per
Chaman Kay Phool Saray
Is Tarhan Say Dhayan Daytay Hain
Zara Say Wasl Kay Jhansay Main
Apni Jan Daytay Hain

Hamian Kab Ilm Tha Jana
Teray Paykar Say Dhul Kar
Chandani Har So Bikhrtee Hai
Shab-E-Mehtab Ke Doshezgi
Kaisay Nikhrtee Hai
Tere Awaz Weranay Main
Kya Jadu Jagatee Hai
Taray Nagmay Fiza Main
Kis Tarha Jaltarang Bajatay Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarha Say Toot Jatay Hain

Hamain Idrak He Kab Tha
Hamain Kamil Bharosa Tha
Hamaray Sath Kisi Surat
Bhee Aisa Nahi Ho Ga
Dil-E-Nadan Kabhi
Qaboo Say Bayqaboo Nahi Ho Ga
Yeh Dunya-Dar
Dunya-Dar Say Sadhuu Nahi Ho Ga

Magar

Magar Phir youn Hoa Jana
Na Janay Kyun Hoa Jana
Bara Afsooun Hoa Jana
Jigar Ka Khooun Hoa Jana

Teray Abroo Ke Ik Jumbish
Say Ghayal Ho Gaay Hum Bhee
Baray Bay Multafit Phirtay Thay
Mayal Ho Gaay Hum Bhe
Sakahwat Karnay Ayay Thay
Aur Sayal Ho Gaay Hum Bhee
Baray Bhooroun Ke In Batoun Kay
Qayal Ho Gaay Hum Bhee
Ky
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Yeh Kaisa Jog Hai Jana

Mujhe Har Kisi Ne Ruswa Kiya Apni Khatir

Mujhe Har Kisi Ne Ruswa Kiya Apni Khatir


Aur Mein Sabko Muhabbat Bantta Raha Khuda Ki Khatir

Wo To Pani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye

Wo To Pani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye
Ansoo To Wo Hai Jo Ankho Mei Hi Reh Jaye


Wo Pyar Kya Jo Lafjo Mei Byan Ho
Pyar To Wo Hai Joa Ankhoan Main Nazar Aye

Jis Din Say Juda Woh Hum Say Huwey

Jis Din Say Juda Woh Hum Say Huwey
Iss Dil Ne Dharrakna Chorr Diya

Tha Chand Ka Moounh Bhi Utra Utra
Taroun Ne Chamakna Chorr Diya

Woh Sath Humarey Rehtey Thay
Be-Rut Bhi Bahar A Jati Thi

Abb Lakh Baharein Ayein To Kya
Phooloun Ne Mehakna Chorr Diya

Abb Phool Bhi Khiley Zakhumoun Ke To Kya
Ankhoun Ne Barasna Chorr Diya

Jab Dua Hum Ne Khuda Say Mangi
Ke Taqdeer Badal Dey Aey Maalik

Awaz Ayi Uss Ke Ghar Say Bhi
Hum Ne Taqdeer Badalna Chorr Diya

Jiss Din Say Juda Woh Hum Say Huwey
Iss Dil Ne Dharrakna Chorr Diya

Muhabbatein Jab Yad Karna To Sazeishein Bhi Yad Karna

Muhabbatein Jab Yad Karna To Sazeishein Bhi Yad Karna
Jo Mere Hisse Me Aye Hai Wo Aziyatein Bhi Yad Karna

Chalaye Rakhungi Main Subah Tak Tumhare Rasto Me Apni Ankhein
Magar Kahin Sabar Toot Jaye To Barishein Bhi Yad Karna

Jo Sardiyounka Udas Mausam Me Dhadkanein Barf Hogayi Hai
Jab Ye Ho Jaye Banjar To Bin Mausam Inka Barasna Bhi Yad Karna

Tum Apni Majbooriyoun Ke Kisse Zaroor Likhna Wazahatoun Se
Jo Meri Ankhoun Mein Jal Bhuji Hai Wo Khwahishein Bhi Yad Karna

Mohababtein Jab Yad Karna To Sazishein Bhi Yad Karna
Jo Mere Hisse Me Aye Hai Wo Aziyatein Bhi Yad Karna

Suno Aisa Karna Kabhi Kisi Ko Chahna Aur Chahate Hi Rehna

Suno
Aisa Karna

Kabhi Kisi Ko Chahna
Aur Chahate Hi Rehna
Din Bher Us Ko Sochte Hi Rehna

Apne Hath Ki Lakeeroun Mein
Us Ka Nam Tarashte Hi Rehna

Aur Jab Kabhi Wo
In Riyazatoun Ka Hisab Mangne Ke Liey
Samne Aey To

Tum ANA Ka Hath Tham Lena

Ager Wo Kuch Kahey To
Muskura Ker Anjan Ban Jana

Aur Jab Wo Mayoos Ho Ker Laut Jaey To

Apne Ander Jhankna
Aur
Khud Se Poochna

Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey Ga
Ky

Dukh Kis ko Kehty Hain
Aur
Dukh Kia Hota Hai

O Be-Wafa Aa Sun Zara Mairi Rooh Pey Guzreen Jo Qayamatein

O Be-Wafa A Sun Zara Mairi Rooh Pey Guzreen Jo Qayamatein
Maira Dil Dukha To Bohat Magar Mairey Lab Pey Abb Bhi Gila Nahin

Tera Bas Na Tha To Kyun Mujhey Naye Mosamoun Ki Naveed Di
Tu Mujhey Peshgi Mein Jo Dey Gaya Woh Phool Abb Tak Khila Nahin

Thi Jin Mosmoun Mein Teri Wapsi Main Abb Bhi Hooun Unn Ka Muntazir
Par Woh Fasl-E-Gul Kahan Reh Gayi Mujhey Abb To Kuch Bhi Pata Nahin

Tera Raz Jo Mujh Pey Na Khul Saka Mujhey Doosroun Say Pata Chala
Terey Ehd-O-Peman Say Bharey Huwey Kisi Bhi Lafz Mein Wafa Nahin

Terey Dostoun Mein Tera Bharam Rahey Yehi Soch Kar Main Chup Raha
Jo Nigah Mein Tha Woh Chupa Liya Jo Dil Mein Tha Woh Kaha Nahin

Mat Karo Koi Wada Jise Tum Nibha Na Sako

Mat Karo Koi Wada Jise Tum Nibha Na Sako
Mat Chaho Use Jise Tum Pa Na Sako

Pyar Kiska Kaha Pura Hota Hai
Pyar Ka Pahla Akshar Hi Adhura Hota Hai