Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, 1 March 2017

Kashti B Nahi Badli Darya B Nahi Badla

Kashti B Nahi Badli Darya B Nahi Badla
Or Dobnay Walon Ka Jazba B Nahi Badla

Hay Shoq-E-Safar Aisa Ik Umr Hy Yaro
Manzil B Nahi Paai Rasta B Nahi Badla

Anaa Ki Bat Hai Warna Muhabbat Ab Bi Baqi Hai

Anaa Ki Bat Hai Warna Muhabbat Ab Bi Baqi Hai
Tujhy Meri, Mujhy Teri Zarorat Ab Bi Baqi Hai

Agar Mushkal Koi Dar Pesh Aay To Laut Aana Tum
Tumhary Wasty Dil Me Aqeedat Ab Bi Baqi Hai

Teri Ankhoun Ki Chilman Main Sitary Jilmalaty Hain
Teri Aankhoun Main Halki C Shararat Ab Bi Baqi Hai

Ajab Khela Hai Mery Sath Kuch Khail Kismat Ne
Sar e Manzal Khara Hoon Aur Masafat Ab B Baqi Hai

Wohi Darpaish Hy Phr Zindagi Khwabon Khyaloun Ki

Wohi Darpaish Hy Phr Zindagi Khwabon Khyaloun Ki
Kahan Hy Ab Tumhari Wo Muhabbat Itnay Saloun Ki

Agr Mery Muqadar Me Andhera Hi Andhera Tha
Kahani Kiyun Sunai Thi Muje Tum Ne Ujaaloun Ki

Bara Hy Farq Dono Me, Mgr Dilchasp Hain Dono
Teri Duniya Jawaboun Ki, Meri Duniya Sawaloun Ki

Tumhn Jb Sy Me Likhta Hn, Tumhn Jb Sy Me Prhta Houn
Zrurat Hi Nhi Parrti Kitaboun K Hawaloun Ki

Taalluq Jorna Or Torna Tm Sy Koi Sekhy
Kahan Sy Aa Gai Tm Ko Maharat Aisi Chaloun Ki

Shagufta Dil Ko Rakha Hy Faqat Is Waasty Mohsin

Zarurat Phr Na Par Jaye Tumhen Meri Misaloun Ki

Bas Aik Tu Tha Jise Raigaan Kia Mein Ne

Bas Aik Tu Tha Jise Raigaan Kia Mein Ne


Aur Aik Ishq Tha Jo By Panah Mujhse Hua

Dil Ki Dharkan Mein Tum Ko Chupa Lain Abi

Dil Ki Dharkan Mein Tum Ko Chupa Lain Abi
Jo Hai Mann Mein Kaho To Sunaa Lain Abi

Tum Ko Chahte Hain Hum Kis Kadr Jaan E Jaan
Gar Bataen To Guzrain Zamane Abi

Youn To Rah-E-Mohabbat Hai Mushkil Magar
Tu Jo De Sath Manzil Ko Pa Lain Abi

Teri Aankhon Mein Ansoo Na Aein Sanam
Gr Jo Aein To Palkain Bicha Lain Abi

Tum Jo Kehte Ho Ky Aaoun Ga Eid Par

Kyun Na Hum Eid Ghar Par Mana Lain Abi

Kyun Tu Acha Lagta Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Kyun Tu Acha Lagta Hai , Waqt Mila To Sochain Gy
Tujh Mein Kya Kya Dekha Hai, Waqt Mila To Sochain Gy

Sara Sheher Shanasai Ka , Dawedar To Hai Lekin
Kon Hamara Apna Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Hum Ne Usko Likha Tha , Kuch Milne Ki Tadbeer Karo
Us Ne Likh Ker Bheja Hai , Waqt Mila To Sochain Gy

Mosam Khushbu Baad-E-Saba Chand Shafaq Aur Taron Mein
Kon Tumhare Jaisa Hai ,Waqt Mila To Sochain Gy

Ya To Apne Dil Ki Mano , Ya Phir Duniya Walon Ki

Mashwara Uska Acha Hai ,Waqt Mila To Sochain Gy