Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday, 11 October 2016

Khaloos E Dil Kii Roshnaaii Ley Kar Ba-Deeda E Tar Hussain (R.A) Likhna

Khaloos E Dil Kii Roshnaaii Ley Kar Ba-Deeda E Tar Hussain (R.A) Likhna
Tum Aisa Karna Kitaab E Dil Kay Wraq Wraq Par Hussain (R.A) Likhna

Haroof Khusboo Kay Phool Ban Kar Tumharey Seenay Mein Khil Uthien Gey
Tum Aisa Karna K Apni Aankhon Pey Apney Lab Par Hussain (R.A) Likhna

Yeh Pair Sarey Yeh Sab Prinday Adab Sey Sajda Karien Gey Un Ko
Tum Aisa Karna K In Hawaaon Kii Jhaalron Par Hussain (R.A) Likhna

Tumharey Tareek Manzron Mein Ujaalien Phootien Gey Noor Ban Kar
Tum Aisa Karna K Apney Ghar Mein Darood Parh Kar Hussain (R.A) Likhna

Kasheed Kar Key Gulaab Ka Arq Fizza Mein Peham Chirakna Us Ko
Phir In Sunehrii Fizaaon Par Roshnii Ka Paikar Hussain (R.A)Likhna

Hussain (R.A) Parh Kar Phir Usko Likhna Phir Usko Likh Kar Tum Aisa Karna
K Aaj Tak Tum Nay Jo Bhi Likha Tum Us Ka Mehwar Hussain (R.A)Likhna

Azaan Dien Gii Tumhaari Aankhien Namaz Misray Adda Karien Gii
Tum Aisa Karna K Raah E Haq Mein Hussain (R.A) Parh Kar Hussain (R.A) Likhna

Wo Barchiyan Wo Chamaktey Khanjar Wo Taptey Sehra Pukaartey Hain
Tum Aisa Karna K Karbala Kay Badan Pey Ja Kar Hussain (R.A) Likhna

Agar Kitabat Ka Shoq Ho To Kitaab E Sabr O Raza Mein Mohsin
Jahaan Shaheedon Ka Naam Likhna To Sab Sey Uper Hussain (R.A) Likhna


Ik pal ki thi haqoomat bas yazeed ki


Ik pal ki thi haqoomat bas yazeed ki

Sadiyan Hussain (R.A) ki hain zamana Hussain (R.A) ka