Apne ghar ki khidki se main aasmaan ko
dekhoun ga,
jis par tera
naam likha hai uss taare ko dhoondoun ga.
Tum bhi har shab diya jala kar
palkon ki dehleez par rakhna,
main bhi roz ek
khwaab tumhare shehar ki jaanib bhejoun ga.
Aur hijr ke dariya mein tum
padhna lehron ki tahreeren bhi,
paani ki har
satr pe main kuchh dil ki baaten likhoun ga.
Jis tanha se ped ke neeche hum
baarish mein bheege the,
tum bhi uss ko
chhoo ke guzarna main bhi uss se liptoun ga.
Khwaab musaafir lamhon ke hain
saath kahan tak jaayenge,
tum ne bilkul
theek keha hai main bhi ab kuchh sochoun ga.
Baadal odh ke guzrunga main
tere ghar ke aangan se,
qaus-e-qaza ke
sab rangon mein tujh ko bheega dekhoun ga.
Be-mausam baarish ki soorat der
talak aur door talak,
tere dayaar-e-
husn pe main bhi kin-min kin-min barsoun ga.
Sharm se dohra ho jaayega kaan
pada woh bunda bhi,
baad-e-saba ke
lahje mein ek baat main aisi poochhoun ga.
Safha safha ek kitaab-e-husn si
khulti jaayegi,
aur ussi ki
layy mein phir main tum ko azbar kar lung a.
Waqt ke ek kankar ne jis ko
akson mein taqseem kiya,
aab-e-rawan
mein kaise ‘amjad’ ab woh chehra jodoun ga. !!