Pages

Tuesday, 19 April 2016

Woh Pani Ki Lehroun Pe Kiya Likh Raha Tha?

Woh Pani Ki Lehroun Pe Kiya Likh Raha Tha?
Khuda Janay Harf-E-Dua Likh Raha Tha


Likhay Thay Jisnay Wafa K Manay Adhuray
Woh Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha


Zara Uski Ankh Ek Ansu Na Nikla
Wo Jis Waqt Lafz-E-Saza Likh Raha Tha


Muhabbat Mein Nafrat Mili Thi Usay
Woh Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha


Is Qadar Zamanay Waloun Nay Usay Sataya
Woh Pyar K Jazbay Ko Gunah Likh Raha Tha

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com